Friday, October 9, 2015

Jindagi

Duniya Ka Har Shoq Pala Nahi Jata,
Kaanch Ke Khilono Ko Unchala Nahi Jata,
Mehnat Karne Se Ho Jati H Mushqile Assan,
Kyunki Har Kaam Taqdir Par Taala Nahi Jata.

Har Jhopdi Aanad–Vihin Kyu H,
Har Aankh Mein Sawan Ka Mahina Kyu H,
Aye Desh Ke Dhaniyo ! Ye Kabhi Socha H,
Majdur Ke Mathe Pe Pasina Kyu H. 

Haskar Jeena Dastur H Jindagi Ka,
Ek Yahi Kissa Mashur H Jindagi Ka,
Beete Hue Pal Kabhi Laut Kar Nahi Aate,
Yahi Sabse Badha Kasur H Jindagi Ka 

Har Jalte Deepak Tale Andhera Hota H,
Har Raat Ke Piche Ek Savera Hota,
Log Darr Jate H Musibat Ko Dekhkar,
Har Musibat Ke Piche Such Ka Savera Hota H. 

No comments:

thanks

comment here frd